Monday, December 10, 2018

zaroorat nahi

mera dil mujhse kehta hai ki meri zaroorat nahi use
na mere fikr ki na mere khayal ki

hawa ka jhoka sa woh dhadakta hai 
mera fikr hawa ko chedta hai, mera khayal use baandhta hai

mera dil mujhse kehta hai meri zaroorat nahi use
na mere dakhal ki na mere byaan ki

sawaal-hajaar sa woh dhadakta hai
mera dakhal sawal ka nafrat, mere byan sawal ka ghontna

mera dil mujhse kehta hai meri zaroorat nahi use
na mere soorat ki na mere zubaan ki

parinde sa woh dhadakta hai
meri soorat zamin pe kheenche, meri zubaan pankh ko jakde

mera dil mujhse kehta hai meri zaroorat nahi use
na is zamane ki, na mere vajud ki

aazaad sa woh dhadakta hai
zamane yuhi takrata hai, meri vajud aise hi tok ta hai 




No comments:

Post a Comment

Her

Her annoyance was like pleats of her saree.  Layered, symmetrical, tucked gently under a calm surface  Yet on days it was a riot of asymmetr...